Thursday, September 24, 2009

Samajhna asaan nahi !!

kyun khoi hun tumhare khayalo mein
kyun itna soch rahi hun
kya tha kaisa tha yeh rishta
kyun itna kho rahi hun

pata nai kaha se ek huye
tum aur main... main aur tum
kaise ek huye, par huye to ..
ho gaye hain bilkul gum

par ab kya ho gai hai yeh pareshani
kyun rehna padh raha hai tumse door
mann nai hai door rehne ka
chhayya hai kuch aisa suroor

kuch ho nai sakta hai
kya kia jaye...
tumse milne ka mann hai
kya kaha jaye...

jo tum aao milne....
ek ho nazrein.. haathon mein haath
jo aa kar dekho mujhe
jo tum ho mere saath..........

No comments: